kisi ney loot Liya dil ka Nagar zamana huwa

na mila rah mein koi shajar zamana huwa
huwa na khatm mera safar zamana huwa

kiya tabassum key pathraa gai nazar ab to
kisi ney loot liya dil ka nagar zamana huwa

wo naqsh-e-pa ki surat rah mein chhor gaya
nazar bichaaey sar-e-rah guzar zamana huwa

naa jaaney dil sey wo kaisi chaal chal jaaey
bisat-e-ishq pe jamaaey nazar zamana huwa

mein bikhar jaaonga, qismat sey bhi lar jaonga
teri chahat mein dushamn agar zamana huwa

tu hi ab maan ley aey dost khuda sey mujhey
meri duaaein huwyey bey asar zamana huwa

aa meri banhon mein choom loon lab o ariz
hamsafar tujh se miley toot ker zamana huwa

han dil ki baat sabat tujh se bayan kerta hey
mila naa tujh saa koi moatbar zamana huwa by saim sabat.